Ek kashti thi kagaz ki

Image copied from Google images

Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani
Ek bachpan tha foolon sa, jiska na tha koi saani

Ek masumiyat thi chehre pe, aur thodi si shaitani
Bahut si thi khwashiyen, aur thodi si nadani

Ek mohabbat thi zamane mein, aur hawa thi ruhani
Khoobsurat thi zindagi, thodi gulzar thodi suhani

Ek alag sa sukoon tha, jab sunte the kahani
Ek hua karta tha raja, aur ek hoti thi rani

Aksar yaad aati hain yeh baatein, jo ho gayi puraani
Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani

~ Neeraj

Comments

Popular posts from this blog

Butterfly – The Most Beautiful Fly

It's My Victory

Empowerment - The word that has lost its meaning