Ek kashti thi kagaz ki
Image copied from Google images Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani Ek bachpan tha foolon sa, jiska na tha koi saani Ek masumiyat thi chehre pe, aur thodi si shaitani Bahut si thi khwashiyen, aur thodi si nadani Ek mohabbat thi zamane mein, aur hawa thi ruhani Khoobsurat thi zindagi, thodi gulzar thodi suhani Ek alag sa sukoon tha, jab sunte the kahani Ek hua karta tha raja, aur ek hoti thi rani Aksar yaad aati hain yeh baatein, jo ho gayi puraani Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani ~ Neeraj