Posts

Showing posts from 2018

Tu hai ik azaad chidiya......

Image
© Neeraj Sharma Tu hai ik azaad chidiya, pankh fela aur udti ja Ambar ki unchayian chhu le, hawa si aage badti ja Koi rok sake na tera rasta, ik nadiya si behti ja Sureeli hai awaaz teri, geet apne gungunati ja Foolon si hai teri nazakat, mehkati ja aur mehkati ja Tu hai ik azaad chidiya, pankh fela aur udti ja Pedon ki tu hai rani, apna mehal sajati ja Sooraj ki kirno mein, kaliyon si khilkhilati ja Andher is nagri mein, roshni ke diye jalati ja Raat ke kale ambar mein, sitaron si jagmagati ja Tu hai ik azaad chidiya, pankh fela aur udti ja                                                                                                         ...

Ek kashti thi kagaz ki

Image
Image copied from Google images Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani Ek bachpan tha foolon sa, jiska na tha koi saani Ek masumiyat thi chehre pe, aur thodi si shaitani Bahut si thi khwashiyen, aur thodi si nadani Ek mohabbat thi zamane mein, aur hawa thi ruhani Khoobsurat thi zindagi, thodi gulzar thodi suhani Ek alag sa sukoon tha, jab sunte the kahani Ek hua karta tha raja, aur ek hoti thi rani Aksar yaad aati hain yeh baatein, jo ho gayi puraani Ek kashti thi kagaz ki, aur behta tha paani ~ Neeraj